Kis ka rasta dekhe - ae dil ae saudaai
meelon hai khamoshi - barson hai tanhaai
bhooli duniya kabhi ki - tujhe bhi mujhe bhi
phir kyon aankh bhar aayi
koi bhi saaya nahin raahon mein
koi bhi aayega na baahon mein
tere liye mere liye - koi nahin ronewala
jhoota bhi naata nahin chaahun main
tu hi kyon dooba rahe aahon mein
koi kisi sang mare - aaisa nahin honewala
koi nahin jo, yoon hi jahan mein - baante peer paraai
tujhe kya beeti hui raaton se
mujhe kya khoi hui baaton se
sej nahin chita sahi - jo bhi mile sona hoga
gai jo dori chhooti haathon se
lena kya toote hue saathon se
khushi jahan maangi tune - wahin mujhe rona hoga
na koi tera na koi mera phir kis ki yaad aai
Jalaa do ise...phoonk daalo yeh duniya
ReplyDeleteJalaa do, Jalaa do, Jalaa do...phoonk dalo yeh duniya
Mere saamne se hataa lo yeh duniya
Tumhaari hai...tum hi sambhaalo yeh duniya
:)
ReplyDeletenice one Steele sahib..