Sunday, December 2, 2007

mariz-e-mohobbat unhin ka fasaana

Qamar Jalalwi ...

mariz-e-mohobbat unhin ka fasaana
sunaataa rahaa - dum nikalte nikalte
magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhi aayaa
chiraag-e-sahar bujh gayaa jalte jalte

iraadaa thaa tark-e-muhabbat kaa lekin
fareb-e-tabassum mein phir aa gaye hum
abhi khaake thokar sambhalne na paaye
ki phir khaai thokar - sambhalte sambhalte


unhen khat mein likhaa thaa dil muztarib hai
javaab un kaa aayaa mohobbat na karte
tumhen dil lagaane ko kis ne kahaa thaa
bahal jaayegaa dil - bahalte bahalte


vo mehamaan rahe bhi to kab tak humaare
hui shammaa gul aur duube sitaare
"qamar" is qadar un ko jaldi thi ghar ki
vo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte

(Thank you Steele sahib)

2 comments:

  1. Arey koi vaada khilaafi ki hadd hai
    Hisaab apne dil se laga kar to dekho
    Qayaamat ka din aa gaya rafta rafta
    Mulaqaat ka din badalte badalte


    ~Steele

    ReplyDelete