Thursday, June 5, 2008

Koi ham-nafas nahin hai koi raazdaan nahin hai

Mustafa Zaidi...

koi ham-nafas nahin hai koi raazdaan nahin hai
faqat ik dil thaa apna so vo meharbaan nahin hai

kisi aur gham mein itni khalish-e-nihaan nahin hai
gham-e-dil mera rafiqo gham-e-raayegaan nahin hai

meri ruuh ki haqiqat mere aansuon se puchho
mera majalisi tabassum mera tarjumaan nahin hai

kisi aankh ko sadaa do kisi zulf ko pukaaro
badi dhuup pad rahi hai koi saayebaan nahin hai

inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mere ghar ke raaste mein koi kah-kashaan nahin hai

5 comments:

  1. I think it should be 'raazdaar' instead of 'raazdaan'

    What say?

    ReplyDelete
  2. Hello Anil.

    Thank you for your interest.

    Raazdaan
    (p.) n.: raazdaar) one who knows secrets, trustworthy, close friends

    and that is from this link

    http://www.learningurdu.com/urdudictionary.asp?alpha=R

    The thing is.. using RaazdaaR instead of RaazdaaN wouldn't go well. Given that the next line contains MeherbaaN

    So, I think, RaazdaaN goes perfectly well.

    What say?

    ReplyDelete
  3. hmmm....

    sahi maloom padta hai

    hats-off to you :)

    p.s. meri kamakli ke liye maafi chahata hoon

    ReplyDelete
  4. Anil: it's nothing to be sorry about.

    Kai baar humne bhi aisi harkaten ki hain.

    Hota hai, chalta hai, duniya hai.

    I am just glad ke kissi ne ashaar padhe to sahi.

    :)

    Take care mate.

    ReplyDelete
  5. Waise bhi

    nahin khel ai daagh yaaron se kehdo
    ke aati hai urdu zabaan aate aate


    :)

    Daagh Dehlavi

    ReplyDelete