Wednesday, July 9, 2008

Bhuli Hui Sadaa Huun - Mujhe Yaad Kijiye

Sagar Siddiqui...

Bhuli hui sadaa huun - mujhe yaad kijiye
tum se kahin milaa huun - mujhe yaad kijiye

manzil nahin huun, khizr nahin, rahazan nahin
manzil kaa rantaa huun - mujhe yaad kijiye

meri nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
main ishq ka khuda huun - mujhe yaad kijiye

nagmon ki ibtida thi kabhi mere naam se
ashkon ki intahaa huun - mujhe yaad kijiye

gum-sum khadi hain donon jahaan ki haqiqaten
main un se kah rahaa huun - mujhe yaad kijiye

"sagar" kisi ke husn-e-tagaaful shaar ki
bahaki hui adaa huun - mujhe yaad kijiye

2 comments:

  1. "nagmon ki ibtida thi kabhi mere naam se
    ashkon ki intahaa huun - mujhe yaad kijiye"

    ... hum to janaab roz yaad karte hain aapko
    jab aap hi mashgool ho jaayen to bhala phir kaise tummhe yaad kijye.. :)

    ReplyDelete
  2. Accha lagaa .. koi to humen yaad karta hai :)

    Mashgool.. aur hum! nahin yaar, aisi koi baat nahin hai.

    I always manage to make time for friends. Aap kahiye kab milna hai.

    ReplyDelete