Jigar Moradabadi...
daastaan gham-e-dil - unko sunaai na gayi
baat bigadi thi kuch aisi ki banaai na gayi
sab ko hum bhuul gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
ishq par kuch na chalaa didaa-e-tar ka jaaduu
ussne jo aag lagaa di vo bujhaai na gayi
kya uthaayegi sabaa khaak meri uss dar se
ye qayaamat to khud un se bhi uthaai na gayi
Maar daala!
ReplyDeleteThe thought apart that it perfectly mirrors your feelings, it is a mind-bogglingly sensitive ghazal.
What feeling, what pain. Amazing!
~ Steele
Steele sahib, Thank you for your comments.
ReplyDeleteit's just sad that there aren't enough people who understand this art anymore...
khair.. hota hai, chalta hai, duniya hai.