Qabil Ajmeri…
Vo har maqaam se pahle vo har maqaam ke baad
Sahar thi shaam se pahle sahar hai shaam ke baad
Har inqalaab-e-mubaarak har inqalaab-e-azaab
Shikast-e-jaam se pahle shikast-e-jaam ke baad
Mujh pe itni tavajjo mujh se itna gurez
Mere salaam se pahle mere salaam ke baad
Charaag-e-bazm-e-sitam hain humara haal na poochh
Jale the shaam se pahle bujhe hain shaam ke baad
Ye raat kuchh bhi nahin thi ye raat sab kuchh hai
Tuluu-e-jaam se pahle tuluu-e-jaam ke baad
Vahi zubaan vahi baaten magar hai kitna farq
Tumhaare naam se pahle tumhaare naam ke baad
Hayaat giriyaa-e-shabnam hayaat raqs-e-sharar
Tere payaam se pahle tere payaam ke baad
Ye tarz-e-fiqr ye rang-e-sukhan kahaan 'Qabil'
Tere kalaam se pahle tere kalaam ke baad
No comments:
Post a Comment