Tuesday, November 18, 2014

Qurbaton Mein Bhi Judaai Ke Zamaane Maange

Ahmed Faraz...

Qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange
Dil vo bemehar ki rone ke bahaane maange

Apna ye haal ke jee haar chuke lut bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaaz puraane maange

Hum na hote tou kissi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahne ko fasaane maange

Dil kissi haal pe maane hi nahin jaan-e-'Faraz'
Mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange

2 comments:

  1. Phir usi rehguzar par shaayad
    hum kabhi mil sakein, magar shaayad

    Jaan pehchaan se bhi kya hoga
    phir bhi aye dost ghaur kar, shaayad

    Muntazir jinke hum rahe unko
    mil gaye aur humsafar shaayad

    Jo bhi bichhde hain kab mile hain “Faraz”
    phir bhi tu intezaar kar shaayad

    ReplyDelete