Monday, September 15, 2008

Faaslaa To Hai Magar - Koi Faaslaa Nahin

Shamim Karhani...

faaslaa to hai magar - koi faaslaa nahin
mujhse tum judaa sahi - dil se to judaa nahin

aasmaan ka fikr kya - aasmaan khafaa sahi
Aap ye bataayie - aap to khafaa nahin

kashtiyaan nahin to kya - hausale to paas hain
kah do naakhudaaon se - tum koi khudaa nahin

leejiye bulaa liya - aap ko khayaalon mein
ab to dekhiye humen koi dekhta nahin

aaiye chiraag-e-dil - aaj hi jalaayen hum
kaisi kal havaa chale - koi jaanataa nahin

0 Opinions:

Archives