Monday, May 3, 2010

Tanha Tanha Mat Socha Kar

 

Farhat Shahzaad…

Tanha tanha mat socha kar
Mar jaayega, mat socha kar

Pyaar ghadi bhar ka hi bahut hai
Jhuutha sachcha, mat socha kar

Jiss ki fitarat hi dassna ho
Wo to dassega, mat socha kar

Dhuup mein tanha kar jaata hai
Kyon ye saaya, mat socha kar

Apna aap ganwa kar tune
Kya paaya hai, mat socha kar

Maan mere 'shahzaad' vagarana
Pachhataayega - mat socha kar

0 Opinions:

Archives