Tuesday, October 22, 2013

Zinda Hoon Iss Tarah Ki Gham-E-Zindagi Nahin

Behzad Lucknawi…

Zinda hoon iss tarah ki gham-e-zindagi nahin 
Jalta hua diya hoon magar roshni nahin

Wo muddaten hui hain kisi se juda hue 
Lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin

Aane ko aa chukaa thaa kinaara bhi saamne 
Khud uss ke paas meri hi nayyaa gai nahin

Hoton ke paas aaye hansi , kya majaal hai 
Dil ka muaamalaa hai koi dillagi nahin

Ye chaand ye havaa ye fiza, sab hai maand maand 
Jo tu nahin to in mein koi dil-kashi nahin

0 Opinions:

Archives