Monday, July 19, 2010

Vahi Phir Mujhe Yaad Aane Lage Hain

Khumar Barabankvi…

Vahi phir mujhe yaad aane lage hain
Jinhen bhulaane mein zamaane lage hain

Vo hain paas aur yaad aane lage hain
Muhabbat ke hosh ab thikaane lage hain

Sunaa hai humen vo bhulaane lage hain
To kya hum unhen yaad aane lage hain?

Hataaye the jo raaste se doston ki
Vo patthar mere ghar mein aane lage hain

Ye kahnaa thaa un se muhabbat hai mujh ko
Ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain

Qayaamat yaqiinan qareeb aa rahi hai
'Khumar' ab to masjid mein jaane lage hain

0 Opinions:

Archives