Monday, December 24, 2012

Yaa Rab! Gham-E-Hijraan Mein Itna To Kiya Hota

Charag Hasan Hasrat…

Yaa rab! Gham-e-hijraan mein itna to kiya hota
Jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hota

Ik ishq ka gham aafat aur uss pe ye dil aafat
Yaa gham na diya hota yaa dil na diya hota

Gairon se kahaa tum ne gairon se suna tum ne
Kuch ham se kahaa hota kuch hum se suna hota

Ummeed to bandh jaati taskeen to ho jaati
Vadaa na vafaa karte vadaa to kiya hota

Nakaam-e-tamannaa dil iss soch mein rahta hai
Yoon hota to kya hota yoon hota to kya hota

0 Opinions:

Archives