Wednesday, August 7, 2013

Ye Shab-E-Firaq Ye Bebasi, Hain Qadam Qadam Pe Udaasiyaan

Hasan Rizvi…

Ye shab-e-firaq ye bebasi, hain qadam qadam pe udaasiyaan 
Mera saath koi na de sakaa, meri hasraten hain dhuaan dhuaan

Main tadap tadap ke jiyaa to kya, mere khvaab mujh se bichhad gaye 
Main udaas ghar ki sadaa sahi, mujhe de na koi tasalliyaan

Chali aisi dard ki aandhiyaan, mere dil ki basti ujad gai 
Ye jo raakh-si hai bujhi bujhi, hain isi mein meri nishaaniyaan

Ye fizaa jo gard-o-gubaar hai, meri bekasi ka mazaar hai 
main vo phuul hoon jo na khil sakaa, meri zindagi mein vafaa kahaan

0 Opinions:

Archives