Sunday, August 5, 2007

Sadamaa to hai mujhe bhi ...

Qateel Shifai ...



Sadamaa to hai mujhe bhi - ki tujh se judaa hoon main
lekin ye sochta huun - ab tera kya hoon main

bikhraa padaa hai tere hi ghar mein tera vajuud
bekaar mahfilon mein - tujhe dhuundhta hoon main

main khudakashi ke jurm kaa kartaa hoon aitaraaf
apne badan ki qabr mein - kab se gadaa hoon main

kiss-kiss kaa naam lauun zabaan par ki tere saath
har roz ek shakhs nayaa - dekhtaa hoon main

naa jaane kiss adaa se liyaa tune mera naam
duniya samajh rahi hai - sab kuch tera hoon main

le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
do chaar saal umr mein - tujh se badaa hoon main

jaagaa huaa zamir vo aainaa hai "qateel"
sone se pahle roz jise - dekhta hoon main

0 Opinions:

Archives