Friday, December 14, 2007

vafaa ke sheesh mahal mein sajaa liya maine

Qateel Shifai ...

vafaa ke sheesh mahal mein sajaa liya maine
vo ek dil jisse patthar banaa liya maine

ye soch kar ki na ho taak mein khushi koi
ghamon ki ot mein khud ko chhupaa liya maine

kabhi na khatm kiya maine roshani ka muhaaz
agar chiraag bujhaa, dil jalaa liya maine

kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo teer apne kaleje pe khaa liya maine

'qateel' jiss ki adaavat mein ek pyaar bhi thaa
us aadmi ko gale se lagaa liya maine

0 Opinions:

Archives