Wednesday, January 23, 2008

Tadapte hain na rote hain na hum fariyaad karte hain

Haider Ali Aatish ...

tadapte hain na rote hain na hum fariyaad karte hain
sanam ki yaad mein har-dam khudaa ko yaad karte hain

unhin ke ishq mein hum naalaa-o-fariyaad karte hain
ilaahii dekhiye kis din humein vo yaad karte hain

shab-e-furqat mein kya kya saanp laharaate hain seene par
tumhaari kaakul-e-pechaan ko jab hum yaad karte hain

0 Opinions:

Archives