Wednesday, April 2, 2008

Ye duniya, ye mehfil - mere kaam ki nahin

ye duniya, ye mehfil - mere kaam ki nahin
kiss ko sunaaoo haal dil-e-bekaraar ka
bujhta hua chiraag hoon, apne mazaar ka
e kaash bhool jaaoon magar bhoolta nahin
kiss dhoom se uthhaa thaa - janaazaa bahaar ka

apna pataa mile, naa khabar yaar ki mile
dushman ko bhi naa aisi sazaa pyaar ki mile
unko khudaa mile hain, khuda ki jinhen talaash
mujh ko bas ek jhalak mere dildaar ki mile

sehraa mein aa ke bhi, mujh ko thikaanaa naa mila
gham ko bhoolaane kaa koi bahaanaa naa mila
dil tarse jiss mein pyaar ko, kya samjhoon us sansaar ko
ek jeeti baazi haar ke, main dhoondoon bichhade yaar ko

door nigaahon se aansoo bahaataa hai koi
kaise naa jaaoon main, mujh ko bulaataa hai koi
yaa toote dil ko jod do, yaa saare bandhan tod do
e parbat rastaa de mujhe, e kaanton daaman chhod do

0 Opinions:

Archives