Thursday, May 29, 2008

Apne Hothon Par Sajaana

Qateel Shifai ...

Apne hothon par sajaanaa chaahta hoon
aa tujhe main gun-gunaanaa chaahta hoon

koi aansuu tere daaman par giraa kar
buund ko moti banaanaa chaahta hoon

thak gayaa main karte-karte yaad tujhko
ab tujhe main yaad aanaa chaahta hoon

chhaa rahaa hai saari basti mein andhera
raushni ho - ghar jalaanaa chaahta hoon

aakhri hichki tere zaanon pe aaye
maut bhi main shaayaraanaa chaahta hoon

0 Opinions:

Archives