Sunday, November 20, 2011

Qareeb Maut Khadi Hai Zaraa Thahar Jaao

Saifuddin Saif…

Qareeb maut khadi hai zaraa thahar jaao
Qazaa se aankh ladi hai zaraa thahar jaao

Thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
Badi udaas ghadi hai zaraa thahar jaao

Nahin ummeed ki hum aaj ki sahar dekhen
Ye raat hum pe kadi hai zaraa thahar jaao

Abhi na jaao ki taaron kaa dil dhadakta hai
Tamaam raat padi hai zaraa thahar jaao

Phir iss ke baad kabhi hum na tum ko rokenge
Labon pe saans adi hai zaraa thahar jaao

Dam-e-firaaq mein jee bhar ke tum ko dekh to loon
Ye faisale ki ghadi hai zaraa thahar jaao

1 Opinions:

Surya Murali said...

Teharna toh hum chaahte hain... par woh kya hain na...

Zindagi aur maut uparwale ke haath hain Nawaab saheb, jise na aap badal sakte hain na hum.
Hum sab toh rangmanch ki katputliyan hain jiski dor uss uparwale ke haath mein hai... kab, kaun, kahan uthega, yeh koi nahin janta.

Archives