Sunday, May 20, 2007

Lagtaa nahin hai jee mera, ujade dayaar mein

Bahaadur Shah Zafar.....

Lagtaa nahin hai jee mera, ujade dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa-paayedaar mein

Keh don in hasraton se - kahin aur jaa basen
itni jagah kahaan hai, dil e daag daar mein

umr e daraaz maang kar laaye the chaar din
do aarzu mein kat gaye, do intezaar mein

din zindagi ke khatam hue, shaam ho gayi
phaila ke pair soyenge kunj e mazaar mein

Kitna hai badnaseeb zaffar, dafan ke liye
do gaz zameen mil na saki, ku e yaar mein



4 Opinions:

Sigma said...

Reached your blog while finding the lyrics of the song 'zindagi ne zindagi bhar gham diye' ....
And I am glad to find it because I am also very fond hindi and urdu poetry.

This particular ghazal by Zafar has been one of my all time favorites, esp. the last 'sher' ...
Kitna badnaseeb hai zafar dafn ke liye
Do gaz zameen bhi na mili ku-e-yaar mein

L o r d R a j said...

Glad to know that there still are people who appreciate Urdu poets n their works

btw.. if u still want the lyrics for the song .. here it is. Will put it up on the blog too in a bit.

Zindagi ne .. zindagi bhar.. gham diye
jitne mausam bhi diye.. sab namm diye..

ik muqamal kashmaksh hai .. zindagi
usne humse ki kabhi na dosti

jab mili mujkho aansu ke tohphe de gayi
hanss sake hum... aise mauke kam diye
zindagi ne.. zindagi bhar.. gham diye.

jab tadaptaa hai kabhi... apna koi
khoon ke aansu.. rulaa de zindagi..

jee ke phir... karna kya.. mujhko aisi zindagi
jisne zakhmon ko .. nahin marham diye

zindagi ne .. zindagi bhar.. gham diye

Hits the heart.. doesnt it :)

Sigma said...

Thanks! I heard this a few days back on the radio ... had missed the context though ... so resorted to google and reached here :-)
Yes, they do touch the heart .... enough to make me want to look for the lyrics ...

Anonymous said...

It was really fascinating to Find this On your Blog

Archives