Sunday, April 13, 2008

Aaj ke daur mein ai dost ye manzar kyon hai

Sudarshan Faakir ...

aaj ke daur mein ai dost ye manzar kyon hai
zakhm har sar pe har ik haath mein patthar kyon hai

jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rahta hai
phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyon hai

apna anjaam to maaluum hai sab ko phir bhi
apni nazron mein har insaan sikandar kyon hai

zindagi jine ke qaabil hi nahin ab "faakir"
varnaa har aankh mein ashkon ka samandar kyon hai

1 Opinions:

Sigma said...

Beautiful ghazal. Remember listening to it long time back ... it was sung by Jagjit singh in an album called Cry for CRY .... but even then the words allured me more than the music ....

Archives