Monday, February 11, 2008

Ye karen yaa vo karen - aisaa karen vaisaa karen

Nazeer Banarasi ...

ye karen yaa vo karen - aisaa karen vaisaa karen
zindagi do din ki hai - do din mein hum kya kya karen

ji mein aataa hai ki den parde se parde ka javaab
hum se vo pardaa karen - duniya se hum pardaa karen

sun rahaa huun kuch lutere aa gaye hain shahar mein
aap jaldi band apne ghar ka darvaazaa karen

is puraani bevafaa duniya ka rona kab talak
aaiye mil-jul ke ik duniya nai paidaa karen

0 Opinions:

Archives