Monday, November 19, 2007

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaada

Majaz Lucknawi ...

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaada
haan meri mohabbat kaa javaab aur zyaada

roye na abhi ahal-e-nazar haal pe mere
hona hai abhi mujh ko kharaab aur zyaada

aavaaraa-va-majnuun hi pe maukuuf nahin kuch
milne hain abhi mujh ko khitaab aur zyaada

uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se
dekhoongaa abhi ishq ke khvaab aur zyaada

tapkegaa lahuu aur mere didaa-e-tar se
dhadakegaa dil-e-khaanaa-kharaab aur zyaada

ai mutrib-e-bebaak koi aur bhi nagmaa
ai saaqi-e-fayyaaz sharaab aur zyaada

0 Opinions:

Archives