Monday, November 26, 2007

Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai

Mirza Ghalib ...

Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki davaa kya hai

hum hain mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ye maajaraa kya hai

main bhi muunh mein zabaan rakhta huun
kaash puuchho ki muddaa kya hai

jab ki tujh bin nahin koi maujuud
phir ye hangaamaa, ai khudaa kya hai

hum ko unse vafaa ki hai ummid
jo nahin jaante vafaa kya hai

0 Opinions:

Archives