Wednesday, November 21, 2007

Tum nahin - gham nahin - sharaab nahin

Saeed Rahi ...

Tum nahin - gham nahin - sharaab nahin
aisi tanhaai kaa javaab nahin

gahe gahe ise padaa kije
dil se bahtar koi kitaab nahin

jaane kis kis ki maut aai hai
aaj rukh pe koi naqaab nahin

vo karam ungaliyon pe ginte hain
zulm ka jinke kuch hisaab nahin

0 Opinions:

Archives