Tuesday, June 17, 2008

Diwaane hain

Aap ke dil mein jo thodi si jagah mil jaaye
apne armaanon ki betaab kali khil jaaye

Diwaane hain diwaanon ko na ghar chaahiye ..na dar chaahiye
mohobbat bhari ik nazar chaahiye

jawaani mein jawaani ke sahaare hon jawaan..mere mehrbaan
mujhe tu hi tu humsafar chaahiye

sar pe humaare khulaa aasmaan - humaare liye hai yahi aashiyaan
bina pyaar ke zindagi kuch nahin - jahaan pyaar hai har khushi hai wahin

ho phoolon bhari chaahe kaanton bhari
chale jiss pe tu.. wo dagar chaahiye!

nigaahon mein aise ishaare hue - ke dil ne kahaa hum tumhaare hue
nazar ban gayi hai zubaan pyaar mein - mazaa aa gayaa jeet ka haar mein

milega wahi maangoge jo dildaar se..magar pyaar se
duaaon mein apni asar chaahiye

0 Opinions:

Archives