Thursday, June 5, 2008

Door Na Jaa

Sayeed Qadri ...

tera chehra - meri aankhon mein basaa rehne de
khud ko, thoda sa kahin mujh mein bacha rehne de
door na ja

aaj ke baad mera saara safar tanha hai
aur tere saath ka bhi akhri yeh lamha hai
aur kuch der mujhe khud se judaa rehne de
door na ja

ab kahin jaake mere dil ko yeh lagta hai
yaar ki baahon mein meri jannat ka jahan basta hai
aur kuch der mujhe in mein bandha rehne de

door na ja

0 Opinions:

Archives