Tuesday, March 27, 2012

Din Saara Guzaara

Hasrat Jaipuri…

Din saara guzaraa tore anganaa, ab jaane de mujhe more sajna
Mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair
Ho mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair

Aasaan hai jaana mehfil se, kaise jaaoge nikal kar dil se
Mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair
Hoye mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair

Dilbar, dil to kahe teri raahon ko rok loon main
Aayi birhaa ki raat ab batlaade kya karoon main

Yaad aayegi yeh baatein tumhaari, tadpegi mohabbat humaari
Mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair
Hoye mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair

Main dharti tu aasmaan, meri hasti pe chha gaya tu
Seene ke surkh baag mein, dil ban ke aa gaya tu

Ab rehne de nigaahon mein masti, basaa le mere khwaabon ki basti
Mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair
Ho mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair

Ye chanchal ye haseen raat haaye kaash aaj na aati
har din ke baad raat hai, ik din to thehar jaati

Koi hum se bichad ke na jaata, jeene ka mazza aa jaata
Mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair
Hoye mere yaar shabbaa khair, mere yaar shabbaa khair

1 Opinions:

Surya Murali said...

Coincidence or what? 'Twas the last song I heard last night before I drifted off to sleep... And was playing in my head as I woke up.
Was also the song that played first when I switched the player app on my phone on in the flight to B'bay! And I remember the irony of the moment. :)

Archives