Monday, March 12, 2012

Tere Paas Aane Ko Ji Chaahta Hai

Sikander Ali Wajd…

Tere paas aane ko ji chaahta hai
Naye zakhm khaane ko ji chaahta hai

Idhar aaye shaayad vo mauj-e-tarannum
Ghazal gungunaane ko ji chaahta hai

Zamaana mera aazmaaya huaa hai
Tujhe aazmaane ko ji chaahta hai

Vahi baat rah-rah ke yaad aa rahi hai
Jisse bhuul jaane ko ji chaahta hai

Labon par mere khelta hai tabassum
Jab aansu bahaane ko ji chaahta hai

Kai martabaa dil pe bijli giri hai
Magar muskuraane ko ji chaahta hai

Takalluf na kar aaj barq-e-tajalli
Nasheman jalaane ko ji chaahta hai

Rukh-e-zindagi se naqaaben ulat kar
Haqiqat dikhaane ko ji chaahta hai

1 Opinions:

Surya Murali said...

"Jisse bhuul jaane ko ji chaahta hai"

Hmmmm...

Archives