Thursday, September 6, 2007

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa

Shahryar ...

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
kahin zamin to kahin aasmaan nahin miltaa

jise bhi dekhiye vo apne aap mein gum hai
zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin miltaa

bujha sakaa hai bhalaa kaun vaqt ke shole
ye aisi aag hai jis mein dhuaan nahin miltaa

tere jahaan mein aisaa nahin ki pyaar na ho
jahaan ummid ho is ki vahaan nahin miltaa

0 Opinions:

Archives