Monday, September 24, 2007

Pyar mujh se jo kiya tumne ..

Lyrics by Javed Akthar ...

pyaar mujh se jo - kiya tumne - to kya paaogi
mere haalat ki aandhi mein bikhar jaogi

ranj aur dard ki basti ka main baashindaa huun
ye to bas main huun ke is haal mein bhi zindaa huun
Khvaab kyun dekhuun vo - kal jiss pe main sharmindaa huun
main jo sharmindaa hua tum bhi to sharamaaogi

kyun mere saath koi aur pareshaan rahe
meri duniya hai jo viraan to viraan rahe
zindagi ka ye safar tum ko to aasaan rahe
humsafar mujh ko banaogi to pachhtaaogi

ek main kya abhi aayenge divaane kitne
abhi gunjege muhabbat ke taraane kitne
zindagi tum ko sunaayegi fasaane kitne
kyun samajhti ho mujhe bhuul nahi paaogi

0 Opinions:

Archives