Thursday, July 10, 2008

Bhulaataa Laakh Huun Lekin, Baraabar Yaad Aate Hain

Hasrat Mohani...

Bhulaataa laakh huun lekin, baraabar yaad aate hain
ilaahi tark-e-ulfat par wo kyonkar yaad aate hain

na chhed ae hum-nashin kaifiat-e-sahabaa ke afsaane
sharaab-e-bekhudi ke mujh ko saagar yaad aate hain

rahaa karte hain qaid-e-hosh mein ae wai naakaami
wo dasht-e-khud faraamoshi ke chakkar yaad aate hain

nahin aati to yaad unki mahinon bhar nahin aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
tujhe to ab wo pahle se bhi badh kar yaad aate hain

0 Opinions:

Archives