Tuesday, February 9, 2010

Mile Gham Se Apne Fursat To Sunaauun Vo Fasaanaa

Moen Ahsan Jazbi …

Mile gham se apne fursat to sunaauun vo fasaanaa
ki tapak pade nazar se may-e-ishrat-e-shabaanaa

Yahi zindagi museebat - yahi zindagi musarrat
yahi zindagi haqeeqat - yahi zindagi fasaanaa

Kabhi dard ki tamanna - kabhi koshish-e-madaavaa
kabhi bijaliyon ki khvaahish - kabhi fiqr-e-aashiyaanaa

Mere kahakahon ke zad par - kabhi gardishen jahaan ki
mere aansuuon ki rau mein kabhi talkhi-e-zamaanaa

Kabhi main huun tujhse naalaa - kabhi mujhse tu pareshaan
kabhi main tera hadaf huun - kabhi tu mera nishaanaa

Jise paa sakaa na zaahid jise chhuu sakaa na sufi
vahi teer chhedta hai meraa soz-e-shaayaraanaa

0 Opinions:

Archives