Monday, February 22, 2010

Na Haaraa Hai Ishq Na Duniya Thaki Hai

Khumar Barabankvi …

Na haaraa hai ishq na duniya thaki hai
Diya jal raha hai havaa chal rahi hai

Sukuun hi sukuun hai khushi hi khushi hai
Tera gham salaamat mujhe kya kami hai

Charaagon ke badle makaan jal rahe hain
Nayaa hai zamaanaa nai raushni hai

Are o jafaaon pe chup rahne vaalo
Khaamoshi jafaaon ki taaiid bhi hai

Mere rahbar mujh ko gumraah kar de
Sunaa hai ki manzil qareeb aa gai hai

'Khumar' ek baalaanosh tu aur taubaa
Tujhe zaahidon ki nazar lag gai hai

0 Opinions:

Archives