Monday, August 4, 2014

Dil Ke Armaan

Hassan Kamaal…

Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye
Hum vafaa kar ke bhi tanhaa rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye

Zindagi ik pyaas ban kar rah gai
Pyaar ke qisse adhoore rah gaye
Hum vafaa kar ke bhi tanhaa rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye

Shaayad unn ka aakhri ho ye sitam
Har sitam, yeh soch kar hum sah gaye

Hum vafaa kar ke bhi tanhaa rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye

Khud ko bhi humne mita daala magar
Faasle jo daramiyaan the rah gaye

Hum vafaa kar ke bhi tanhaa rah gaye
Dil ke aramaan aansuon mein bah gaye

1 Opinions:

Unknown said...

Couldn't agree more :|

Archives