Thursday, December 4, 2014

Tum Aaye Ho Na Shab-E-Intazaar Guzari Hai

Faiz Ahmed Faiz…

Tum aaye ho na shab-e-intazaar guzari hai 
Talaash mein hai sahar baar baar guzari hai

Junuun mein jitani bhi guzari bakaar guzari hai 
Agarche dil pe kharaabi hazaar guzari hai

Hui hai hazarat-e-naaseh se guftaguu jiss shab 
Wo shab zaruur sar-e-kuu-e-yaar guzari hai

Wo baat saare fasaane mein jis ka zikr na tha 
Wo baat unko bahut naa-gavaar guzari hai

Na gul khile hain, na unse mile, na mai pi hai 
Ajeeb rang mein ab ke bahaar guzari hai

Chaman mein gaarat-e-gulachin se jaane kya guzari 
Qafas se aaj sabaa beqaraar guzari hai

0 Opinions:

Archives