Sunday, July 1, 2007

Dard ki had se guzarnaa to abhi baaqi hai

Rashid Kamil...

Dard ki had se guzarnaa to abhi baaqi hai
tuut kar mera bikharna to abhi baaqi hai

paas aake mera dukh-dard baantnewaale
mujhse katraa ke guzarnaa to abhi baaqi hai

chand sheron mein kahaan dhalti hai ehsaas ki aag
gham kaa ye rang nikharnaa to abhi baaqi hai

rang-e-rusvaai sahi shahar ki divaaron par
naam "Rashid" kaa ubharnaa to abhi baaqi hai.

1 Opinions:

Michael de`OZ said...

I voted for you blog!
Join to action

Archives