Friday, February 19, 2010

Kaisi Hai Ye Udaasi Chaayi

Lyrics – Javed Akhtar …

It’s such a relief to listen to something like Kaisi Hai Ye Udaasi. I was beginning to wonder if all the lyricists had taken a collective decision that the words didn’t really have to make sense.

Kaisi hai ye udaasi chaayi - mere dil
Kaisi gehari hai ye tanhai - mere dil

Raahon mein yaadon ki khamoshi barse
Ankhon mein jo gham hain - aansu ko tarse
Ye bataa ye kyun hua
Bujh gaya kyun har dia

Kaisi hai ye udaasi chaayi - mere dil

Jo bhi mila, woh kho gaya
Tujhko pataa hai aisa hi sadaa hota hai
Jaana hi tha woh jo gaya, dil tu akela aise kyun bhalaa rota hai

Bhoole jo hain tujhko ab unko bhool ja tu bhi
Warna mere saath yaadon ke zakhm kha tu bhi
Maan ja ae dil mere
Bhool ja shikve giley

Kaisi hai ye udaasi chahie

Tu hi bataa ae dil mere
Maine to humesha tera hi kahaa maana hai
Kyun hai mujhe ye gham ghaire
Mujhe umar bhar kya bas yahi sazaa paana hai

Sapne boye maine aur dard maine hain kaate
Gaaye geet maine aur paaye maine sanaate
Aarzoo nakaam hai
Suni si har shaam hai

Kaisi hai ye udaasi chaayi - mere dil
Kaisi gehari hai ye tanhai

17 Opinions:

Unknown said...

Good song

L o r d R a j said...

Hey,

Delighted to know that there still are people who can tell the difference between a good song and absolute trash.

Was beginning to think there weren't any left.

Unknown said...

Though I am beginning to hate his sound...reminds me of that so called kisser lover boy !!

L o r d R a j said...

LOL!

I am just glad that for a change there is a song comprising of words and sentences that actually have a meaning.

Absolutely refreshing to have a song that doesn't have any 'Kameena, Kamini, Marjaani' etc, in it.

Most of the trash they come up out with these days has chipmunk voices / vernacular expletives / and mostly words put together that really don't mean anything.

Ibn batuta, bagal mein joota, pehne to karta hai chuurrrrr.

WTF is that supposed to mean??

I know Ibn Batuta was a muslim scholar. A traveller. Now the line translates as:

Ibn Batuta, shoe is on the side, when you wear it, it goes 'churrrr'.

errr....

Just as baffled as I was with feeli neeli peeli hansi - ALSO by gulzaar.

Then there is this stupid song from Paa.. the video gives me a headache. The lyrics... OMFG...

Khulli khulli main challi challi main khilli khilli - itefaaq se.. uddi main laddi khaddi juddi juddi khaddi khaddi uddii!!!!

Song writing is NOT just about putting up rhyming words together. They are supposed to mean something.

They are supposed to mean something as words, and when put together in a sentence, that sentence is supposed to mean something as well!!!

Have no idea when that basic requirement was forgotten!

Unknown said...

getting high and watching Book of Eli...come over..if u have nothing better to do !!!! We can talk sense....

L o r d R a j said...

Really like the getting high part. :)

I am at a sheesha joint with friends. Been here for most of the day. Thanks for the invite though.

Enjoy your drink(s).

Cheers.

Sad Soul ... said...

sun li jo khudaa ne woh duaa tum to nahi ho
darwaze pe dastak ki sada tum to nahi ho
tumhein mahsoos kiya to bheegi hui palkein
bhige hue mausam ki adaa tum to nahin ho
in ajnabi raahoon mein koi bhi nahin meraa
kisne mujhe apnaa kahaa woh tum to nahin ho

L o r d R a j said...

Waaaah.

I believe the poet is Bashir Badr...

inn ajnabi raahon mein koi bhi nahin mera
Kisne mujhe apna kahaa, woh tum to nahin ho

sigh... hum ko koi milaa hi nahin jo apna kahe.

Bichadd gayaa har saathi dekar pal do pal ka saath.
kiss ko fursat hai jo thaame, dewaane ka haath.

Sad Soul... said...

Kaisi hai ye udaasi chaayi - mere dil
Kaisi gehari hai ye tanhai

Khabhi nah khatam hone wali yeah khamoshi...

Kaisi talaash hai yeah jo mazil pa hiee nahi sakhtii...

Kaisi yeah sooch meri kaisee yeah yeah manzil meri jo milti hiee nahie...

Kaisi gehari hai ye udaasi ki palkein bheegi na hui...

Dil chup sa hogaya is talaash mein jo khabhi khatam na hogi...

Zindagi muhtaaj hogayee hai yeh manzil kay liyee

Kaisi hai ye udaasi chaayi - mere dil..Kaisi gehari hai ye tanhai

Sad soul... said...

mera har sawal tere jawab se acha hoga

mera har gul tere gulab se acha hoga

yakin na aaye to dekh lena mera janaja bhi teri baraat se acha hoga

L o r d R a j said...

Zindagi mohtaaj ho gayi hai, ye manzil ke liye..

hmmm...

marne ki duaen kyon maangon, jeene ki tamanna kaun kare.
ye duniya ho ya wo duniya.. ab khwaahish-e-duniya kaun kare..

sad soul... said...

aaj dil bahut udaas hai...Ajj phir nahi mila jiski talssh thi humko...

Kabhi na puri hone wali kaisee yeh chachat hai meri...ek noukri ki bhi na mang kar sakein tumhare khuda se...

Kaisaa imtehan hai yeah meraa jo khatam honee naa naam hie nahi letaa...

Agar woh mout denaa chataa hai tu dee..par kambhak woh bhi tu nahi aatii...Teraa khudaa tu woh bhi nahi de saktaa....

Waqt mera khabhi nahi badlee gaa...rooz mar mar ke hie jeenaa hogaa..

L o r d R a j said...

Control Fakhry..

I can understand how it's going for you. Humaara haal bhi kuch waisa hi hai..

umr daraaz maang kar laaye the chaar din...
do aarzu mein kat gaye, do intezaar mein.

Sad Soul... said...

Whose fakhry.....I heard a guy with tht name passed away last nite..

L o r d R a j said...

Dil ko behla lene ke liye ghalib... ye bhi khayaal achha hai..

Anonymous said...

Great song!! am almost hooked to it!!

L o r d R a j said...

Name Is Bond,

Glad you like it. :)

Archives