Wednesday, June 13, 2007

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na thaa

Adeem Hashmi..


Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur vo mera na tha

vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar suu
main usse mahsus kar saktaa tha chhu saktaa na tha

raat bhar us ki aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha

aks to maujud the par aks tanhaai ke the
aaina to tha magar us mein tera chehraa na tha

aaj us ne dard bhi apne alahdaa kar diye
aaj mein royaa to mere saath vo royaa na tha

ye sabhi viraaniyaan us ke judaa hone se thiin
aankh dundhalaai hui thi shahr dundhlaaya na tha

yaad karke aur bhi takleef hoti thi adeem
bhuul jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha

0 Opinions:

Archives