Monday, June 18, 2007

Vo khvaab thaa bikhar gaya...

Iftikhar Imam Siddiqui...

Vo khvaab tha bikhar gayaa, khyaal tha mila nahin
magar ai dil ko kya hua, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din, tamaam shab udaasiyaan
kissi se kya bichhad gaye, ki jaise kuch bachaa nahin

vo saath tha to manzilen nazar nazar chiraag thiin
qadam qadam safar mein ab, koi bhi lab duaa nahin

hum apne is mizaaj mein, kahin bhi ghar na ho sake
kissi se hum mile nahin, kissi se dil mila nahin

hai shor-saa taraf taraf, ki sarhadon ki jang mein
zameen pe aadmi nahin, falak pe kya khuda nahin

0 Opinions:

Archives